Urdu poetry

Urdu poetry

Breaking

offerwall

Saturday 9 November 2019

Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat

November 09, 2019 0
Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Gay To Yaad Aaonga
Meri Khushbo Tumhe Kholegi Gulabon Ki Tarah
Tum Agar Khud Se Na Bolo Gay To Yaad Aaonga
Isi Andaz Mai Hote Thai Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likhogay To Yaad Aaonga
Isi Judai Mai Tum Andar Se Bikhar Jaogay
Kisi Maazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaonga
Humne Khushiyun Ki Tarah Dukh Bhi Ikhattay Dekhe
Saf e Zeest Ko Palto Gay To yaad Aaonga
Tum Meri Ankh Ke Tewar Na Bhula Pao Gay
An Kahi Baat Ko Samjho Gay To Yaad Aaonga






Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai

November 09, 2019 0
Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai
Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai
Kal Tak Rota Tha Jiske Liye WO Zakhm Dhone Ko Ayi Hai
Kaha Tha Na Nahi Milega Mujh jaisa Ashiq Tumhe
Jo Tumhare Zulm o Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Muhabbat Bhi Kare
Jis Tarah Tu Mujhe Chor Gayi Thi Beech Safar Mai Adhora
Dekh Usi Adhore Safar Se Mar Kar Mai Jaraha Hon
Tujhse Kiya Tha Wada Ke Tere Bin Ek Pal Na Jeeyonga
Dekh Wo Wada Bhi Isi Liye Aaj Mai Nibha Raha Hon
Maine Kaha Tha Agar Tu Mujhe Na Mili To Na Reh Paonga
Mar Jaonga Bin Tere Khud Ko Fana Kar Jaonga
Na Rona Mere Janaze Pe Meri Jaan meri Rooh Bhi Ro Paregi
Tumhe Khush Rakhne Ka Khud Se Wada Kiya Tha
Mera Wada Totega Aur Meri Rooh Bhi Tarpegi
Bas AIk Hi Ghum Marne Ka Mujhe Hamesha Hi Rahega
Meri Maa Ka Wo Nalayak Beta Na Rahega
Kitne Hi Dukh Unko Unki Zindagi Mai Dikhaye
Mere Liye Na Jane Unho Ne Kitne Anso bahaye
Mar Kar Bhi Unko Udas Kiye Jaraha Hon
Mere Khuda Dekh Is Zalim Dunya Ko Chor Tere Pas Araha Hon
Jo Galti Maine Ki Usay Na Tum Mere Doston Dohrana
Hath Jorta Hon Mai Ke Meri Tarah Tum Kisi Se Na Dil lagana

Saturday 2 November 2019

Kaho To Laut Jate Hain

November 02, 2019 0
Kaho To Laut Jate Hain
Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay Baalon Tak Nahi Aai


Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Hain

Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta

Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Jayen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Jayan.

Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain

Kahoo To Lout Jatay Hain

DECEMBER JAB BHI AATA HAI

November 02, 2019 0
DECEMBER JAB BHI AATA HAI
DECEMBER JAB BHi AATA HAi

wo pagli phir se beetay mosam ko yad krti hai
Purane cards parhti hai
Ke jis main Usne likha tha
Mai LOTOON GA DECEMBER Mai
Naye kaprey baNati hai
wo sara ghar sajati hai
DECEMBER ke har aik diN ko
wo giN gin kar bitati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hay
magar phir b
poraNi albums ko khol ker
maazi ko bolati he
Nahi maloom ye oss ko
K beete waqt ki khoshiyaaN
bohot takleef deti haiN
mehiz dil ko jalati haiN
yooN hi diN beet jate haiN
DECEMBER lot jata he
magr wo khosh feham larki
dobara se caleNdar maiN
DECEMBER k mahiNe k safey ko
mor ker
phir se
DECEMBER k sehar maiN dob jati he
k akhir os Ne likha tha
MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

November 02, 2019 0
Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise

Jaagte-Jaagte Ik Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise

Har Mulakaat Pe Mehsoos Yahi Hota Hai
Mujhse Kutch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Hue Aksar Ye Gummaan Hota Hai
Vo Nazar Chup Ke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyun Ka Safar
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehroo.N Tujhe Soochta Rehta Hoon Main
Meri Har Saans Tere Naam Likhi Ho Jaise

December Phir Udaas Hai

November 02, 2019 0
December Phir Udaas Hai
Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak..
Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai.
Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai.
Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai..
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai..
Baat Toh Kare Koi,
Saath Toh Chale Koi,
Khaamoshi Ka Pehra Hai
Zakhm Dil Ka Gehra Hai
Kisi Bahut Apne Ki
Ab Mujhe Talaash Hai.
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai


jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

November 02, 2019 0
jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye
jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye
apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye

mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna
raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye

pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi
jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye

jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye

jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan
mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye

uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL
wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye

Thursday 18 April 2019

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

April 18, 2019 0
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi
Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya
Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizain Ab Bhi Hain
We Bheege Bheege Pani Ki
Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain
Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun
Aur Dil Apna Sulgata Hun
Ab Tum Nahi Hote Sath Mere
Aur Hote Hain Khali Haath Mere
Pur Shor Sadain Poochti Hain
Wo Sard Hawain Poochti Hain
Wo Kahan Gaya Sathi Tera?
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya?
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko




Wednesday 17 April 2019

Apne Kirdaar Pe Daal Ke Parda IQBAL

April 17, 2019 1
Apne Kirdaar Pe Daal Ke Parda IQBAL

Nahi HAi Na Umeed Iqbal Apni Kusht e Weeran Se

April 17, 2019 0
Nahi HAi Na Umeed Iqbal Apni Kusht e Weeran Se

Wednesday 24 January 2018

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

January 24, 2018 0
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko YaadAate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon MagarJunhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain